ایک مرتبہ دو دوستوں نےEk martaba do dostoon ny azaadi sy pehly hindusyan k ek mashoor hakeem jo hakeem nabaz k naam sy mashoor thy un ko azmany ka faisala kia. Hakeem sahib apnay hikmat k ilam main bahut hi mahir thy. Hakeem sahib mareezon ki nabaz tatool kr marz jan laty. Hakeem sahib k ic shohrat k baaic un do dostoon ny hakeem shib ko azmany ka faisala kia. ek din dono dost hakeem sahib k pas pahunchy aur kaha hakeem sahib ek mareeza hy jo baa waja beemari k ap ko dikhany nh aa sakti ic liye ap mehabani kr k hamary sath us k ghr chlain.
hakeem sahib chal paary waha pahunch kr un doston ny kaha k hakeem sahib wo mareeza shar'ai parda karti hy ic liye ap ko nabz nahi dikha sakti. Hakeem sahib ny kaha k ap ek dhaga lo aur us ka ek sira us ki kalai main bandh do aur dosra sira mujhy la kar pakra do. Chunachy unhon ny aisa hi kiya. Hakeem sahib ny jo ilaaj tajweez kia wo bahut dilchasp tha. hakeem sahib ny us k liye bhusa aur ek khas qisam ka ghaas tajweez kiya. un doston ny hairani sy pocha hakeem sahib ye kiya ilaaj ha?? hakeem sahib ny jawab diya k tum log dosra sira ek bhains(Buffalo) k gardan py bandh k aye ho. Ye sun kr un doston ny iqraar kr liya aur hakeem sahib k ilam k muu'tarif ho gaye.



Hakeem Nabaaz.
ReplyDelete